Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

 

Hazrat Sheikh Usmaan Maghribi

 

Rahmatullah Alayh

 

Aap ka ism e gram Syed bin Salam Maghribi Rahmatullah Alayh hai. Aap Hazrat Sheikh Bu Ali Katib Rahmatullah Alayh  ke mureed aur khalifa hain. Aap ne Abu Al Hasan se bhi istifada kya. Qairwan  maghrib ke rehne walay they. Kayi saloon taq aap sahraoon mein gosha nasheen rahay hatah ke kasrat e ibadat ki wajah se aankhon mein halqay parne ki wajah se shakal bhi kharab ho gayi thi. Isi douran ilham howa ke makhlooq se rabita qaim karo. Chunancha aap Mecca Mukarmah tashreef le gay .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Aap farmatay hain ke mujahdaat ki ibtida mein meri yeh kefiyat thi ke agar mujhe aasman se neechay pheink diya jata to mujhe is mein bhi is liye khusi mehsoos hoti kyunkay mein aik aisi uljan mein phas gaya tha ke khana khaya jaye ya namaz farz ke liye wuzu kya jaye. Unhi do uljhano ki wajah se mere lazzat mafqood ho chuki thi jo mere liye aziat ka baais thi. Phir haalat zikar main  mere oopar aisi cheeze munkashif  honay lagen ke agar dosaron par munkashif  ho jatin to woh un ko kramaat se tabeer karne lagta. Lekin mein is ko gunah kbirah tasawwur karta tha aur neend ko bhaganay ke liye aisay patharon par ja baithta  jin ki teh mein bohat ameeq ghaar hotay taakay agar zara bhi palak jhapkay to mein ghaar mein ja paron . Is ke ba wajood agar mujhe ittafaq se is pathar par neend aa jati to baydaari ke baad dekha ke pathar howa mein muallaq hai aur mein is par betha howa hon .

Hazrat Shaikh Usman Maghribi  Rahmatullah Alayh tees saal Mecca mein rahay phir wahan se Naishapoor tashreef  le gay aur phir sara umar wahein rahay. Nafaat ul Anse  mein likha howa hai ke Hazrat Shaikh Usman Maghribi  Rahmatullah Alayh ne farmaya jis din mein duniya se jaoon ga is din aasman ke farishtay zameen par utrin ge aur meri qabar par matti dalain ge. Chunancha aisa hi howa aap jis roz is duniya se rukhsat hue is din itna gubhar utha ke Jahan tareek ho gaya aur Naishapoor mein koi kisi ko nah dekh saka. Jab aap ko supurd  e khaak kar diya gaya to mutala saaf  ho gaya .

Hazrat Sheikh abbu usmaan ko is darfani rukhsat hue. Aapka mazaar Aqes nishapoor Iran mein waqay hai .